Hi friends !! Yah post unke liye hai jo Blogging me interest rakhte hain . Toh mujhe Permalink ke bare me jyada batane ki jarurat nahi . Lekin agar aapko nahi malum hai toh mai bta deta hu ki Permalink , aapke blog post ka jo URL hota hai usme aapke blog address ke baad ka url Permalink hota hai .
For Example:- Man lijiye Mere iss post ka URL hai : https://www.techyukti.com/2016/02/how-to-hack-whatsapp-account-whatsapp.html . Toh Iss url me “2016/02/how-to-hack-whatsapp-account-whatsapp.html “ wala part permalink hai .
Dosto Mai aapko bata du ki Permalink ko change karna kyu jaruri hai . Permalink aapke SEOko increase karta hai . Jaise agar Hindi Me Blogging Karte ho . Aur jab bhi aap apne post ke Title ko Hindi Me Likhte ho toh aapke post ka URL kuch iss tarah se ho jata hai –Permalink Change Karna Kyu Hai Jaruri:
Toh aapko samjh me aa gya hoga ki custom url nahi hone se post ke url ko dekh kar kuch samjh nahi aata hai ki yah post kiske bare me hai .
Bahut se user post ka link dekhte hi smjh jate hai ki iss post me kya ho skta hai . Aur agar aapne custom url nahi daala hai toh user uss link par click nhi karega . Isiliye isse SEO par asar padta hai .
Toh aap apne Blog Post ko check kar lijiye ki aapke kon se post me Permalink ko change karna bahut jaruri hai . Mere kahne ka matlab yah hai ki aapke post me agar “2016/02/blog-post_22.html “ hai toh isko change karna bahut jaruri hai . Kyuki Google bhi jab search resultsme show karta hai toh visitorlink ke according hi Search Result par click karta hai .
Ab agar aap Permalink ke importance ko samjh gaye honge toh mai kuch simple steps me bataunga ki aap kaise aasani se apne purane post ke permalink ko change kar skte hain .
Purane Blog Post Ke Permalink Ko Kaise Change Kare:-
Step#1:- Sabse Phle apne Blog ke “Dashboard” par jayen.
Step#2:- Fir Left side me Posts par click kare .
Step#3:- Ab aapke published postke list aa jayegi . Ab aap choose kijiye ki kon sa post hai jiska permalink change karna hai .
Step#4:- Ab uss post ko edit kijiye .
Step#5:- Jab aapka post editor me open hoga toh usme right side me “ Revert To Draft” ka option dikhega . Ab aap uspe click kar dijiye .
Step#6:- Fir aap Right Side me hi “Permalink” Ka Option Dikhega . Usme Custom Permalinkset karne ke liye enable ho jayega . Ab aap sahi url daal ke Done Par click kar dijiye .
Iss tarike se aap kuch hi step me apne purane permalink ko change kar skte hain .
Note:- Custom Permalink change karte samay aap space ke jagah par “_” (dash) ka use kare.
दोस्तों उम्मीद है की यह पोस्ट आपको पसंद आई होगी . अगर आपको कोई समस्या होती है तो आप कमेंट करके पूछ सकते हैं . और हाँ इस ब्लॉग के आने वाले पोस्ट को पढने के लिए हमारा न्यूज़ लैटर सब्सक्राइब कर लीजिये जिससे आपको नये पोस्ट आपके इनबॉक्स में मिल जायेंगे .
Nice article keep it up
ReplyDeleteI got these template you can use on your blogger
Free Download premium eventify blogger template
Download maxseo blogger template
schema blogger template free download
premium templates Download for your website