Sunday, 30 June 2019

SAR Value क्या होती है? & मोबाइल पर इसका क्या इफ़ेक्ट पड़ता है



Aap logo ne ek cheej bahut bar suni hogi, jisaka nam hai “SAR Value”. Aaj Hum isi Ke bare me baat karenge ki SAR Value Kya hai? & Iska Mobile Phone Kya Effect Hai. Chahe humne mobile ke box par padha ho ya kisi mobile review me dekha ho ya kabhi paper me padha ho.
 
Sar Value क्या है?
Dosto , humare mobile me ak antenna hota hai,  jo 2 kam karta hai.  Ek mobile phone se signals ko mobile tower tak bhejane ka aur dusara signals ko mobile tower se mobile phone me receive karne ka, ya phir ye WI-FI aur Bluetooth ke  dauran bhi kam karta hai.
 
In sabhi cheejo me jo antenna kam karta hai vo Electromagnetic waves tarnge hoti hai, unko bhejane se aur unko catch karne se hi kaam karta hai . Jb tarange(Waves) bheji jati hai, vo failati hai, jisase kuchh tarange( Waves) loss ho jati hai .
 
Man lijiye humne 100 tarnge (Waves) bheji usme se 80 pahuchi aur 20 aas-pass ke environment me hi radiate ho jayegi.
 
Jab phone ka antenna pure power se kam karta hai aur jab vo high voltage par hota hai to us time par radiation jyada hota hai ,matalab aap halka kam kar rahe hai to radiation kam, nahi to radiation jyada hota hai.
 
Agar aap ne mobile data aur aap call par bhi hai, ya aap aur kai sare kam ak sath kar rahe hai to aur jyada.

SAR value Full Form & Meaning:

“SAR (Specific Absorption Rate) value means vo rate jo aapka body energy ko ya us holes radiation ko absorb karta hai aur Jo aapke body me tissues hai usko absorb  karte hai.”
 
calculate Sar value 
Ye value do part me divide ki gayi hai , first sir (head) aur Second remaining body, Sir (head) ke liye unhone alag SAR Value specified ki hai kyun ki jab hum call par hote hai to sir (head) humara sabse najdik  hota hai, aur jo body hai jb aapka phone aapke jeb me hoga ya aapke hath me hoga to usake liye alag SAR Value define ki gayi hai.

SAR Value Ki Kya Limit Hai :-
SAR Value ke liye alag-alag country like USA, CHINA, INDIA, ke government ne ek limit decide ki hai, means agar kisi company ke mobile ki SAR Value ek  limit se upper hai to aap apna phone market me nahi bech sakte hai. India aur USA ki SAR Value same hai , vo mapte hai 1 gram tissue ka average lekar jo hoti hai 1.6 watt/kg , means 1 kg tissues aapka 1.6 watt power absorb kar sakta hai. Aur jo Europe me hai vo 2 watt/kg,10 gram tissues ka average gyan me rakh kar.
 
sar value list
Phone Me Kitna SAR Value Hona Chahiye:-
Agar aapko koi phone lena hai to usake liye aap nischint rahe kyunki jab tak mobile ki SAR Value limit ke andar nahi rahegi tab tak vo market me nahi aayegi, to bhi agar aap dekhana chahenge to aap kam SAR Value wala hi phone le.
 
Aur aap ak bat aur hamesa gyan me rakhe ki jab aapke mobile me 3G ya 4G data on ho aur aap call par bhi ho, to aap call ke liye “Head phone” ka use kare. Isase aapka phone aapke sir(head) ke najdeek nahi hoga, jisase aapko brain tumour ya cancer jaise bimariyo se koi khatra nahi rahega aur aap Secure rahenge.
 
Dosto, Ummid hai apko Samajh me aa gaya hoga ki SAR Value Kya Hoti Hai (क्या होती है)? aur iska apne Mobile Phone par ka Effect Padta hai. Aap sabhi Jab koi New Smartphone Buy kare to aap Uska SAR Value Jaur Check kare aur Agar Mobile ka SAR Value Emission Rate 1.6 watt/kg  se Jayada hai. To iska Matlab wah Smartphone apke Health ke Liye Problem Create kar sakta hai. 

0 comments: