Dosto ! Agar aapke paas Android Phone hai aur aap usko format ya reset Karna Chahte hain toh aap bilkul sahi jagah aaye hain. Kyuki Iss Post Me Mai Aapko Btaunga Ki Android Phone format kaise karte hai?
Friends agar aapka phone kisi wajah se chalu nahi ho rha hai ya sirf starting screen par hi rook gaya hai. Kbhi kabhi Pattern Lock ko bahut jyada baar galat open krne par aapka phone lock ho jata hai. Aur aise me aapke phone me mobile data agar off rhta hai toh aap apne phone ko open nahi kar pate hai. Aur koi option bhi nahi dikhayi deta hai toh aise me aap service center ko hi jaate hai;
Agar aapke phone ki warranty khatam ho gyi hai toh service center aapko charge bhi karta hai. Agar aap apne phone ko khud se thik krna chahte hai to hiss post me btaye gye sbhi steps ko follow kare Fir aapka phone phle jaise ho jayega.
Iss method ko format ya hard reset Kehte hai. Iss method me mai jo bhi steps use karunga wo lagbhag sbhi android phone me ek jaisa hi hai. Maine kuch phone ka example bhi diya hai .
How to Format Android Phone in Hindi?
Friends dhyan rhe iss step ko krne ke baad aapke phone ka Data chala jayega . Isliye agar aapke pass BackUp ho tabhi apne phone ko Hard Reset kijiye. Yaa Fir aapke Gmail ka password pta hona chahiye. Jisse aap baad me login krke apna contacts ,aur gaming Data dubara pa skte hai. Aur haa Hard Reset Krne Se Phle aapka phone puri tarah se off hona chahiye. Lock mode me bhi nahi. Agar switch off nahi ho rha hai toh aapko battery bhi nikalni pad skti hai.
Step to Format Android Phone:
Step 1: Sbse phle apne phone ke ko switch off kar dijiye.
Step2:- Fir apne phone ke Volume Up(+) and Volume Down(-) button ko press kijiye aur sath sath Power Button ko bhi press kijiye. (Samsung Ke Phone Me Main Menu Button Press Kare)
Step 3: Jab aap kuch seconds tak dono button ko press kiye honge toh aapke screen par kuch options dikhenge .
Step 4:-Ab un options me aapko Reset ka option dikhega.
Step 5: Kisi bhi option par jaane ke liye aapko Volume UP ya Down button ki help le skte hai .Aur ok krne ke liye power Button ko click kre.
Step 6:- Jab aap Reset par click kar denge ,toh aapka phone format hone lagega aur kuch time me Reboot hokar aapka phone on ho jayega.
Iss tarah se aap apne phone ka Pattern Lock ko tod skte hai ya Unbootable mode se Bootable mode me kar denge .
Disclaimer: Maine aapko phle hi bta diya ki aap apne phone ke data ko kho denge .Isme meri website “www.Get-Url.Xyz “ ki koi jimmedari nahi hogi. Isliye agar aap apne phone ke contacts & Data ke liye koi option dhoodh liye hai tabhi iss method ko try kare.
0 comments: